Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum
us ki surat ka tasawwur dil mein jab late hain hum
KHud-ba-KHud apne se hamdam aap ghabraate hain hum
hosh gar rahta ho tujh ko hum se poshida na rakh
jab wo yan aata hai ai dil tab kahan jate hain hum
baiThe baiThe kyun yakayak hae dil khoya gaya
hamdam is ka kuchh sabab DhunDe nahin pate hain hum
KHud-ba-KHud kal shab ko wo bole uTha munh se naqab
jo na dekha ho kisi ne mujh ko, dikhlate hain hum
be-sabab ho kar KHafa jab kuchh sunata hai wo shoKH
ji hi ji mein apne upar hae jhunjhlate hain hum
sham ko saqi kabhi aata hai gar tera KHayal
subh tak bhi hosh mein apne nahin aate hain hum
hum ne gham kya KHak khaya gham ne hum ko kha liya
log ai hamdam samajhte hain ki gham khate hain hum
jam le kar mujh se wo kahta hai apne munh ko pher
ru-ba-ru yun tere mai pine se sharmate hain hum
jo kalam-e-ishq ye hargiz samajhta hi nahin
dil ko sau sau tarah 'ghamgin' hae samjhate hain hum
(1116) Peoples Rate This