Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_31ca8d56b10149a59a2f1d54c1d48316, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Uske Kuche Mein Gaya Main So Phir Aaya Na Gaya - Ghamgeen Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Uske Kuche Mein Gaya Main So Phir Aaya Na Gaya

us ke kuche mein gaya main so phir aaya na gaya

main wahan aap ko DhunDa to main paya na gaya

gum hua dil mere pahlu se ki paya na gaya

shayad us kuche mein ja us se phir aaya na gaya

dam-ba-KHud ho ke mua us ki nazakat ke sabab

aah-o-nala bhi mujhe us ko sunaya na gaya

us ne ek roz mein sau bar rulaya mujh ko

mujh se par us but-e-KHush-KHu ko manaya na gaya

baad ek umar ke kya tujh se kahun ai 'ghamgin'

haal-e-dil us ne jo puchha to sunaya na gaya

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Kuche Mein Gaya Main So Phir Aaya Na Gaya In English By Famous Poet Ghamgeen Dehlvi. Uske Kuche Mein Gaya Main So Phir Aaya Na Gaya is written by Ghamgeen Dehlvi. Read famous Poem Uske Kuche Mein Gaya Main So Phir Aaya Na Gaya for youth and Student by Ghamgeen Dehlvi. Free Download Uske Kuche Mein Gaya Main So Phir Aaya Na Gaya in PDF.