Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ade8f90bca3610edd16dc8ce556d3677, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Us Shoala-ru Se Jab Se Meri Aankh Ja Lagi - Ghamgeen Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Us Shoala-ru Se Jab Se Meri Aankh Ja Lagi

us shoala-ru se jab se meri aankh ja lagi

kya jaane tab se sine mein kya aag aa lagi

kabe mein wo zuhur hai jo but-kade mein hai

ai shaiKH munsifi se tu kahiyo KHuda-lagi

pa tak bhi dastaras na ho mujh ko ye rashk hai

aur tere hath mein rahe qatil hina lagi

dushnam tum ne mujh ko jo di to main KHush hua

aur main ne di dua to tujhe bad-dua lagi

wo ghuncha-lab jo KHanda-zanan hai chaman mein aaj

shayad gulon ke khilne ki us ko hawa lagi

KHwabida baKHt ne wahin bedar kar diya

tere KHayal mein jo ye aankh ek zara lagi

'ghamgin' jo ek aan pe tere ada hua

kya KHush ada use teri ai KHush-ada lagi

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Shoala-ru Se Jab Se Meri Aankh Ja Lagi In English By Famous Poet Ghamgeen Dehlvi. Us Shoala-ru Se Jab Se Meri Aankh Ja Lagi is written by Ghamgeen Dehlvi. Read famous Poem Us Shoala-ru Se Jab Se Meri Aankh Ja Lagi for youth and Student by Ghamgeen Dehlvi. Free Download Us Shoala-ru Se Jab Se Meri Aankh Ja Lagi in PDF.