Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai
na puchh hijr mein jo haal ab hamara hai
umid-e-wasl hi par in dinon guzara hai
na dekhun tujh ko to aata nahin kuchh aah nazar
tu meri putli ka aankhon ki yar tara hai
mujhe jo baam pe shab ko bulae hai wo mah
magar uruj pe kya in dinon sitara hai
yaqin jaan tu waiz ki din o duniya mein
bas us ki sirf mujhe zat ka sahaara hai
ajab tarah se nazar paD gaya mere hamdam
qayamat aah wo mukhDa bhi pyara pyara hai
mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se
na iKHtiyar hai us ka na mera chaara hai
kaha jo main ne pilate ho bazm mein sab ko
magar hamein hi nahin kya gunah hamara hai
to bole wo ki jise chahen hum pilaen sharab
KHushi hamari tera is mein kya ijara hai
gaya wo parda-nashin jab se apne ghar 'ghamgin'
tamam KHalq se dil ko mere kinara hai
(972) Peoples Rate This