Mujhse Aazurda Jo Us Gul-ru Ko Ab Pate Hain Log
mujh se aazurda jo us gul-ru ko ab pate hain log
aur hi rangat se kuchh kuchh aa ke farmate hain log
jab se jaana band mera ho gaya ai hamdamo
tab se un ke ghar mein har har tarah ke aate hain log
mere aah-e-sard ki tasir us ke dil mein dekh
hae kis kis tarah mujh par us ko garmate hain log
jab wo ghabraate the mujh se tab the un ke ghar ke KHush
ab jo wo KHush hain to un ke ghar ke ghabraate hain log
koi samjhao unhen bahr-e-KHuda ai momino
us sanam ke ishq mein jo mujh ko samjhate hain log
roz-e-hijran to dikhaya sau farebon se mujhe
dekhiye ab aur kya kya hae dikhlate hain log
jo lagate the bujhate the hamesha un se aah
wo hi ab na-chaar 'ghamgin' mujh se sharmate hain log
(703) Peoples Rate This