Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1uk97uu052olh0bsdv5f0l9n02, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Maine Har-chand Ki Us Kuche Mein Jaana ChhoDa - Ghamgeen Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Maine Har-chand Ki Us Kuche Mein Jaana ChhoDa

main ne har-chand ki us kuche mein jaana chhoDa

par tasawwur mein mere us ne na aana chhoDa

us ne kahne se raqibon ke mujhe chhoD diya

jis ki ulfat mein dila tu ne zamana chhoDa

uTh gaya parda-e-namus mere ishq ka aah

us ne khiDki mein jo chilman ka lagana chhoDa

hath se mere wo pita nahin muddat se sharab

yaro kya apni KHushi main ne pilana chhoDa

tere 'ghamgin' ko pareshani hai us roz se yar

tu ne jis roz se zulfon ka banana chhoDa

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Har-chand Ki Us Kuche Mein Jaana ChhoDa In English By Famous Poet Ghamgeen Dehlvi. Maine Har-chand Ki Us Kuche Mein Jaana ChhoDa is written by Ghamgeen Dehlvi. Read famous Poem Maine Har-chand Ki Us Kuche Mein Jaana ChhoDa for youth and Student by Ghamgeen Dehlvi. Free Download Maine Har-chand Ki Us Kuche Mein Jaana ChhoDa in PDF.