Alfaz-e-be-sada Ka Imkan Aaine Mein
alfaz-e-be-sada ka imkan aaine mein
dekha hai main ne akasr be-jaan aaine mein
kamre mein raqs karti chalti hain jab hawaen
kuchh aks bolte hain har aan aaine mein
hoga kisi ka chehra pahchan ki lagan mein
hongi kisi ki aankhen hairan aaine mein
tahzib ka tasallut hai aaine se bahar
tariKH ke safar ka wijdan aaine mein
rangon ki barishon se dhundla gaya hai manzar
aaya hua hai koi tufan aaine mein
zinda haqiqaton ki hoti hai parda-poshi
palti hai jab raunat nadan aaine mein
ho raushni ki zulmat sahra ho ya samundar
hota hai zindagi ka 'irfan' aaine mein
(677) Peoples Rate This