Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b0bff7abbe7acd644aa30973f4bc3b1e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aks Ki Kahani Ka Iqtibas Hum Hi The - Ghalib Irfan Poetry In English - Darsaal

Aks Ki Kahani Ka Iqtibas Hum Hi The

aks ki kahani ka iqtibas hum hi the

aaine ke bahar bhi aas-pas hum hi the

jab shuur-e-insani rabte ka pyasa tha

harf-o-saut ilm-o-fan ki asas hum hi the

faslon ne lamhon ko muntashir kiya to phir

etibar-e-hasti ki ek aas hum hi the

muqtadir mohabbat ki shikwa-sanj mahfil mein

KHamushi ko apnae pur-sipas hum hi the

KHwab ko haqiqat ka rup koi kya deta

munakis tasawwur ka inikas hum hi the

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aks Ki Kahani Ka Iqtibas Hum Hi The In English By Famous Poet Ghalib Irfan. Aks Ki Kahani Ka Iqtibas Hum Hi The is written by Ghalib Irfan. Read famous Poem Aks Ki Kahani Ka Iqtibas Hum Hi The for youth and Student by Ghalib Irfan. Free Download Aks Ki Kahani Ka Iqtibas Hum Hi The in PDF.