Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_68ad76a4a53703c526cb077e0bd46758, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jabin-e-shauq Pe Gard-e-malal Chahti Hai - Ghalib Ayaz Poetry In English - Darsaal

Jabin-e-shauq Pe Gard-e-malal Chahti Hai

jabin-e-shauq pe gard-e-malal chahti hai

meri hayat safar ka maal chahti hai

main wusaton ka talabgar apne ishq mein hun

wo meri zat mein ek yarghamal chahti hai

hamein KHabar hai ki us mehrban ki chaaragari

hamare zaKHmon ka kab indimal chahti hai

tumhaare baad meri aankh zid pe aa gai hai

wahi jamal wahi KHadd-o-KHal chahti hai

hum us ke jabr ka qissa tamam chahte hain

aur us ki tegh hamara zawal chahti hai

hari ruton ko idhar ka pata nahin malum

barhana shaKH abas dekh-bhaal chahti hai

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jabin-e-shauq Pe Gard-e-malal Chahti Hai In English By Famous Poet Ghalib Ayaz. Jabin-e-shauq Pe Gard-e-malal Chahti Hai is written by Ghalib Ayaz. Read famous Poem Jabin-e-shauq Pe Gard-e-malal Chahti Hai for youth and Student by Ghalib Ayaz. Free Download Jabin-e-shauq Pe Gard-e-malal Chahti Hai in PDF.