Sada Ba-sahra
ye dur dur muradon ke retile Tile
sarak sarak ke jo daman badalte rahte hain
ye murda unT jo sahra ke zard rangon mein
kisi ne dasht-e-talab mein saja ke rakkhe hain
ki jo bhi bhes badal kar idhar rawana ho
palaT hi jae wo le kar phaTi phaTi aankhen
ye kis ki wadi hai ye unT kis ke hain
ye kaun zard-nigarish ka itna shaeq hai
ye kaun qais hai kis dasht ke sarab mein hai
ye kis ka KHwab hai kis husn ke azab mein hai
junun mein Dub ke dil ne pukara nam apna
jhaTak ke sar ko tamanna ne chiKH dohrai
KHayal KHwab ke daman mein chaunk chaunk uTha
ye mera nam tha dil ka ya meri laila ka
meri tamanna thi dil ki ya meri laila ki
ye chiKH sar ki jhaTak aur KHwab kis ke the
palaT hi jao na le kar phaTi phaTi aankhen
(716) Peoples Rate This