Paik-e-KHayal Bhi Hai Ajab Kya Jahan-numa
paik-e-KHayal bhi hai ajab kya jahan-numa
aaya nazar wo pas jo apne se dur tha
us mah-ru pe aankh kisi ki na paD saki
jalwa tha tur ka ki sarasar wo nur tha
dete na dil jo tum ko to kyun banti jaan par
kuchh aap ki KHata na thi apna qusur tha
zarre ki tarah KHak mein pamal ho gae
wo jin ka aasman pe sar-e-pur-ghurur tha
(804) Peoples Rate This