Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_784220f5f21fc773d81fb0521f0f7d63, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tum Aaoge - Geetanjali Rai Poetry In English - Darsaal

Tum Aaoge

main ne puchha tha sitaron se

aur us pile gulab ki pankhuDiyon se bhi

un ka sab ka manna tha ki wo hawa ka jhonka sach kah raha tha ki tum aaoge

phir main ne baqi sab se bhi puchha

wo nim ka daraKHt

us mein rahne wali wo chiDiya

us ke sath khelne wali narm dhup aur Tahniyon mein chhupne wala chand

ek ek kar sab se baat ki main ne

aur sab kahte hain tum aaoge

siwae tumhaare

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Aaoge In English By Famous Poet Geetanjali Rai. Tum Aaoge is written by Geetanjali Rai. Read famous Poem Tum Aaoge for youth and Student by Geetanjali Rai. Free Download Tum Aaoge in PDF.