Subhon Jaise Log

subhon jaise log bahut achchhe lagte hain na

lagta hai ki bahut alag hain baqi logon se

lekin ummidon ke bais wo log bhi aksar ek arse baad kisi aam din ki tarah Dhal ke

na-ummidi ki lambi raat ban jate hain

in se behtar to wo log hote hain jo KHamosh shamon ki tarah

ummiden nahin magar sukun zarur dete hain

tum aae to the ek KHamosh sham ki tarah

lekin us raat ke baad main ne tum mein ek subh dekhni shurua kar di thi jaane kyun

shayad aaj bhi tum ek KHamosh sham hi ho

ye to main hun jo tum mein apni subh DhunDhne ki nakaam koshish mein hai

kyunki subhon jaise log bahut achchhe lagte hain na

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subhon Jaise Log In English By Famous Poet Geetanjali Rai. Subhon Jaise Log is written by Geetanjali Rai. Read famous Poem Subhon Jaise Log for youth and Student by Geetanjali Rai. Free Download Subhon Jaise Log in PDF.