Itwar Ki Dopahar
itwar ki dopahar to hamesha hi achchhi hoti hai
bilkul tumhaari tarah
be-fikr be-parwah aazad
main ne bhi hamesha ise apne hi tariqe se bitaya hai
par jaane kyun
kuchh arse se jab bhi ye sukun bhara waqt apne sath bitane ki koshish ki
tum dur-daraaz ke waqton se nikal ke chup-chap mere qarib baiTh jate ho
mere hathon ki khuli kitab band kar ke
apne hi qisse sunane lagte ho
december ki sardi
barish ki bunde
aur itwar ki dopahar
wahi qissa jo tum ne jiya tha kabhi
mere sath
lag-bhag har hafte dohraate ho
aur mujhe ehsas bhi nahin hota ki main qaid hun
kuchh aazad se lamhon mein hamesha ke liye
(1221) Peoples Rate This