Intizar-e-did Mein Yun Aankh Pathrai Ki Bas

intizar-e-did mein yun aankh pathrai ki bas

marte marte wo hui aalam mein ruswai ki bas

dekh kar shabnam ki haalat hans paDi nau-ras-kali

do-ghaDi patton pe rah kar itna itrai ki bas

dil ki dhaDkan baDh gai aankhon mein aansu aa gae

ek zara si baat par itni hansi aai ki bas

maut ko bhi marne wale par taras aa hi gaya

is tarah chaDhti jawani mein qaza aai ki bas

baat kaisi ab to honTon par hai aahon ka hujum

choT khane par bhi aisi choT par khai ki bas

tauba karne ko to kar li hazrat-e-'ghawwas' ne

yak-ba-yak gardun pe wo kali ghaTa chhai ki bas

(651) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Intizar-e-did Mein Yun Aankh Pathrai Ki Bas In English By Famous Poet Gawwas Qureshi. Intizar-e-did Mein Yun Aankh Pathrai Ki Bas is written by Gawwas Qureshi. Read famous Poem Intizar-e-did Mein Yun Aankh Pathrai Ki Bas for youth and Student by Gawwas Qureshi. Free Download Intizar-e-did Mein Yun Aankh Pathrai Ki Bas in PDF.