Dekh Kar Wahshat Nigahon Ki Zaban Bechain Hai
dekh kar wahshat nigahon ki zaban bechain hai
phir sulagne ko koi ek dastan bechain hai
kali raaton ke saliqe din ko kyun bhane lage
soch kar gum-sum hai dharti aasman bechain hai
kaghazon par ho gae sare KHulase hi magar
kuchh to hai jo hashiyon ke darmiyan bechain hai
jab se sazish mein samundar ki hawa shamil hui
kashti hai chup-chap si aur baadban bechain hai
bhed jab sargoshiyon ka khul ke aaya samne
shor wo uTTha hai apna hukmaran bechain hai
hijr ke mausam ki kuchh mat puchhiye uf dastan
main yahan betab hun to wo wahan bechain hai
(1629) Peoples Rate This