Zindagi Se Umr-bhar Tak Chalne Ka Wada Kiya
zindagi se umr-bhar tak chalne ka wada kiya
ai meri kambaKHt sanso hae tum ne kya kiya
ibtida-e-hosh se achchha-bhala patthar tha main
ek nazar bas dekh kar tu ne mujhe dariya kiya
ek bas KHamosh se lamhe ki KHwahish hi to thi
aur usi KHwahish ne lekin shor phir kitna kiya
lutf ab dene lagi hai ye udasi bhi mujhe
shukriya tera ki tu ne jo kiya achchha kiya
sochta hun kaun se ilzam aur ab rah gae
han tujhe chaha tujhe puja tera sajda kiya
di nahin taswir apni tu ne diwane ko jab
yun kiya wallah us ne KHud ko hi tujh sa kiya
kab talak aaKHir ye sahti rahti KHwabon ki tapish
tang aa kar nind ne palkon se lo tauba kiya
(1091) Peoples Rate This