Lamha Guzar Gaya Hai Ki Arsa Guzar Gaya
lamha guzar gaya hai ki arsa guzar gaya
hai kaun wo jo waqt ki sazish ye kar gaya
ab umr to ye bit chali sochte tumhein
itna hua hai han ki zara main sanwar gaya
simTa tha jab talak wo hatheli mein Thik tha
pahuncha labon pe lams to nas-nas bikhar gaya
yun to dahak raha tha wo suraj sa dur se
jo pas ja ke chhu liya kaisa sihar gaya
dekhun tujhe qarib se fursat se chain se
mera ye KHwab mujh ko liye dar-ba-dar gaya
ek roz tera nam sar-e-rah le liya
chalta hua ye shaghl achanak Thahar gaya
misra sisak raha tha akela jo der se
yaad us ki aa gai to ghazal mein utar gaya
(1366) Peoples Rate This