Is Baat Ko Waise To Chhupaya Na Gaya Hai

is baat ko waise to chhupaya na gaya hai

sab ko ye magar raaz bataya na gaya hai

parde ki kahani hai ye parde ki zabani

bas is liye parde ko uThaya na gaya hai

hain bhed kai ab bhi chhupe qaid rapaT mein

kuchh nam the shamil so dikhaya na gaya hai

ambar ki ye sazish hai ajab chand ke badle

duje kisi suraj ko ugaya na gaya hai

harfon ki zabani ho bayan kaise wo qissa

likkha na gaya hai jo sunaya na gaya hai

kuchh ahl-e-zaban aae to hain dene gawahi

aankhon se magar KHauf ka saya na gaya hai

ye raat hai naraaz jo dekha ki hawa se

do ek charaghon ko bujhaya na gaya hai

(1039) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Baat Ko Waise To Chhupaya Na Gaya Hai In English By Famous Poet Gautam Rajrishi. Is Baat Ko Waise To Chhupaya Na Gaya Hai is written by Gautam Rajrishi. Read famous Poem Is Baat Ko Waise To Chhupaya Na Gaya Hai for youth and Student by Gautam Rajrishi. Free Download Is Baat Ko Waise To Chhupaya Na Gaya Hai in PDF.