Ye Sahra-e-talab Ya Besha-e-ashufta-haali Hai
ye sahra-e-talab ya besha-e-ashufta-haali hai
koi daryuza-gar apna koi tera sawali hai
hawadis se nabard-araiyon ka kis ko yara tha
junun apna salamat jis ne har uftad Tali hai
tere aghmaz ki KHu sikh li ahl-e-murawwat ne
ki mahfil dard ki ab sahab-e-mahfil se KHali hai
huzuri ho ki mahjuri mohabbat kam nahin us se
tab apna baKHt-e-ali tha ab apna zarf-e-ali hai
numu ka josh kuchh nazzara-farma ho to ho warna
bahaar ab ke baras KHud paimal-e-KHushk-sali hai
kisi ke lutf-e-kam ko der lagti hai siwa hote
chaTakne tak to har gul ki jibillat infiali hai
sharaf itna ki 'ghaalib' ki zamin mein hai ghazal 'gauhar'
wo mazmun-afrini hai na wo nazuk-KHayali hai
(893) Peoples Rate This