Shairi Baat Nahin Garm-e-suKHan Hone Ki
shairi baat nahin garm-e-suKHan hone ki
shart hi aur hai shaista-e-fan hone ki
main ki har-dam mujhe baalidgi-e-ruh ki fikr
ruh ko fikr hai warasta-e-tan hone ki
ram-ba-ram silsila-e-mauj-e-ghazalan-e-KHayal
dasht-e-ghurbat ko bashaarat ho watan hone ki
partaw-e-rang se gulgun hua mamura-e-chashm
dhum hai ku-e-tamasha ke chaman hone ki
haq-parasti ko yahan kaun hai aamada-e-dar
kis ko taufiq hai be-gor-o-kafan hone ki
ya bachega na sahar tak koi darmanda-e-shab
ya sahar hi nahin KHakam-ba-dahan hone ki
dard ki sal-girah KHair se guzre 'gauhar'
aa gai raat wahi chand-gahan hone ki
(2699) Peoples Rate This