Saman-baron Se Chaman Daulat-e-numu Mange
saman-baron se chaman daulat-e-numu mange
hawa-e-daman-e-gul gesuon ki bu mange
taraaz-e-shoKHi-e-pa hai gyah-e-sabz ki mang
KHiram-e-naz ka andaz aab-ju mange
bikharti zulf se TuTe ghurur-e-shab ka tilism
sahar ka husn fusun-e-ruKH-e-niku mange
waraq waraq gul-e-tar mauj mauj baad-e-sahar
badan ka lams tere pairahan ki bu mange
shigaf-e-koh na tha tesha-e-wafa ki talab
ye ju-e-shir abhi aur kuchh lahu mange
shikasta-e-shisha-e-pindar ki sada bhi sun
karam ki bhik jab us sang-dil se tu mange
kahan wo shoKH magar apna nutq-o-lab 'gauhar'
usi ka zikr pae-zeb-e-guftugu mange
(1003) Peoples Rate This