Mata-e-ishq Zara Aur Sarf-e-naz To Ho
mata-e-ishq zara aur sarf-e-naz to ho
tazzi-e-umr ka aaKHir koi jawaz to ho
ba-ham-digar koi shab us se lab-ba-lab to chale
hawa-e-shauq kuchh aaluda-e-majaz to ho
qadam qadam koi saya sa muttasil to rahe
sarab ka ye sar-e-silsila daraaz to ho
wo kam-suKHan na kam-amez phir takalluf kya
kuchh us se baat to Thahre kuchh us se saz to ho
wafa se manzil-e-tark-e-wafa tak aa nikle
kisi bahane to patthar kabhi gudaz to ho
shafaq kinaya-e-lab sham istara-e-zulf
kabhi KHayal wasilon se be-niyaz to ho
huzur-e-naz abas hai KHayal-e-jaan 'gauhar'
niyaz mahram-e-KHamyaza-e-niyaz to ho
(983) Peoples Rate This