Marhala Tai Koi Be-minnat-e-jada Bhi To Ho
marhala tai koi be-minnat-e-jada bhi to ho
gham baDhe bhi to sahi dard ziyaada bhi to ho
aisi mushkil to nahin dasht-e-wafa ki tasKHir
sar mein sauda bhi to ho dil mein irada bhi to ho
zehn ka mashwara-e-tark-e-talab bhi bar-haq
zehn ki baat qubul-e-dil-e-sada bhi to ho
kahin baadal kahin suraj kahin saya kahin dhup
mere mabud tera koi labaada bhi to ho
pyar mein kam to nahin kam-nigahi bhi us ki
han tunak-zarfi-e-ehsas kushada bhi to ho
aashiqi sarmad-o-mansur se kuchh KHas nahin
mast lekin koi be-zahmat-e-baada bhi to ho
zarf-e-iza-talabi gham bhi parakh len 'gauhar'
us se ek roz na milne ka irada bhi to ho
(895) Peoples Rate This