Han Kahish-e-fuzul Ka Hasil Bhi Kuchh Nahin

han kahish-e-fuzul ka hasil bhi kuchh nahin

lekin hayat be-KHalish-e-dil bhi kuchh nahin

ab soch lo qadam hain ziyan-gah-e-shauq mein

kahna na phir ki jazba-e-kaamil bhi kuchh nahin

gahra sukut chap ki aawaz-e-bazgasht

rah mein bhi kuchh na tha sar-e-manzil bhi kuchh nahin

juz hirs-e-manfat tah-e-dariya bhi kuchh na tha

juz wahm-e-afiyat lab-e-sahil bhi kuchh nahin

sab jazb-e-arzu ki tamazat ka khel hai

dil sard ho to garmi-e-mahfil bhi kuchh nahin

badle to ek namuna-e-e'raaz-o-ehtiraaz

yun us nigah ki rah mein hail bhi kuchh nahin

'gauhar' KHala mein ghurte phirte ho ab kaho

kya sach hai bhulna use mushkil bhi kuchh nahin

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Han Kahish-e-fuzul Ka Hasil Bhi Kuchh Nahin In English By Famous Poet Gauhar Hoshiyarpuri. Han Kahish-e-fuzul Ka Hasil Bhi Kuchh Nahin is written by Gauhar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Han Kahish-e-fuzul Ka Hasil Bhi Kuchh Nahin for youth and Student by Gauhar Hoshiyarpuri. Free Download Han Kahish-e-fuzul Ka Hasil Bhi Kuchh Nahin in PDF.