Dil Tamam Aaine Tera Kaun Raushan Kaun
dil tamam aaine tera kaun raushan kaun
ab ye aankh hi jaane doston mein dushman kaun
ya jigar mein KHun kam tha ya abhi junun kam tha
dasht ke ewaz karta warna qasd-e-gulshan kaun
ek nashat-arai ek sukun-e-tanhai
hijr ya visal achchha hal kare ye uljhan kaun
silsile mohabbat ke nam se nahin chalte
apni zat jo taj de shaiKH kya barahman kaun
ek nai lagan baKHshe ek faqat thakan baKHshe
mardum-azma nikla rahnuma ki rahzan kaun
ishq be-KHabar guzre KHair-o-shar ke uqdon se
aarzu ki sita ko ram kaun rawan kaun
KHama-e-suKHanwar ya jazb-e-andrun 'gauhar'
fan ke sar pe rakhta hai taj-e-azmat-e-fan kaun
(836) Peoples Rate This