Dil Silsila-e-shauq Ki Tashhir Bhi Chahe
dil silsila-e-shauq ki tashhir bhi chahe
zanjir bhi aawaza-e-zanjir bhi chahe
aaram ki surat nazar aae to kuchh insan
nairang-e-shab-o-roz mein taghir bhi chahe
sauda-e-talab ko na tawakkul ke ewaz de
ye shart to KHud KHaliq-e-taqdir bhi chahe
lazim hai mohabbat hi mohabbat ka badal ho
taswir jo dekhe use taswir bhi chahe
ek pal mein badalte hain KHad-o-KHal lahu ke
aankh apne kisi KHwab ki tabir bhi chahe
lahja to badal chubhti hui baat se pahle
tir aisa to kuchh ho jise naKHchir bhi chahe
tasir se KHali to suKHan nang hai 'gauhar'
shaer ko ata ho sanad-e-'mir' bhi chahe
(882) Peoples Rate This