Dil Silsila-e-shauq Ki Tashhir Bhi Chahe

dil silsila-e-shauq ki tashhir bhi chahe

zanjir bhi aawaza-e-zanjir bhi chahe

aaram ki surat nazar aae to kuchh insan

nairang-e-shab-o-roz mein taghir bhi chahe

lazim hai mohabbat se mohabbat hi janm le

taswir jo dekhe use taswir bhi chahe

lahja to badal chubhti hui baat se pahle

tir aisa to kuchh ho jise naKHchir bhi chahe

ek pal mein badalte hain KHad-o-KHal hayule

aankh apne kisi KHwab ki tabir bhi chahe

tasir se KHali to suKHan nang hai 'gauhar'

shaer ko ata ho sanad-e-'mir' bhi chahe

(925) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Silsila-e-shauq Ki Tashhir Bhi Chahe In English By Famous Poet Gauhar Hoshiyarpuri. Dil Silsila-e-shauq Ki Tashhir Bhi Chahe is written by Gauhar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Dil Silsila-e-shauq Ki Tashhir Bhi Chahe for youth and Student by Gauhar Hoshiyarpuri. Free Download Dil Silsila-e-shauq Ki Tashhir Bhi Chahe in PDF.