Samne Aankhon Ke Ghar Ka Ghar Bane Aur TuT Jae
samne aankhon ke ghar ka ghar bane aur TuT jae
kya kare wo jis ka dil patthar bane aur TuT jae
hae re un ke fareb-e-wada-e-farda ka jal
dekhte hi dekhte ek dar bane aur TuT jae
hadson ki Thokaron se chur hona hai to phir
kyun na KHamoshi se dil saghar bane aur TuT jae
hum bhi le len lutf-e-tir-e-nim-kash gar wo nazar
aate aate qalb tak KHanjar bane aur TuT jae
un ke daman ki hawa bhi kis ko hoti hai nasib
aaj har aansu mera gauhar bane aur TuT jae
yun bikharta hi raha ai 'tarz' har sapna mera
subh jaise KHwab ka manzar bane aur TuT jae
(862) Peoples Rate This