Rah-e-ishq Mein Gham-e-zindagi Ki Bhi Zindagi Safari Rahi
rah-e-ishq mein gham-e-zindagi ki bhi zindagi safari rahi
kabhi nazr-e-KHak-e-safar rahi kabhi motiyon se bhari rahi
teri ek nigah se saqiya wo bahaar-e-be-KHabari rahi
gul-e-tar wahi gul-e-tar raha wahi Dal Dal hari rahi
teri be-ruKHi ki nigah thi ki jo har KHata se bari rahi
meri aarzu ki sharab thi ki jo jam jam bhari rahi
dam-e-marg bhi meri hasraten had-e-arzu se na baDh sakin
usi kale dew ki qaid mein mere bachpane ki pari rahi
dil-e-gham-zada pe guzar gaya hai wo hadsa ki mere liye
na to gham raha na KHushi rahi na junun raha na pari rahi
wahi 'tarz' tujh pe rahim hai ye usi ka faiz-e-karim hai
ki asatiza ke bhi rang mein jo ghazal kahi wo khari rahi
(906) Peoples Rate This