Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2f0f3c1dccc96d2c0a81f376a07f946a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mahaul Sazgar Karo Main Nashe Mein Hun - Ganesh Bihari Tarz Poetry In English - Darsaal

Mahaul Sazgar Karo Main Nashe Mein Hun

mahaul sazgar karo main nashe mein hun

zikr-e-nigah-e-yar karo main nashe mein hun

ai gardisho tumhein zara taKHir ho gai

ab mera intizar karo main nashe mein hun

main tum ko chahta hun tumhin par nigah hai

aise mein e'tibar karo main nashe mein hun

aisa na ho ki saKHt ka ho saKHt-tar jawab

yaro sambhal ke war karo main nashe mein hun

ab main hudud-e-hosh-o-KHirad se guzar gaya

Thukrao chahe pyar karo main nashe mein hun

KHud 'tarz' jo hijab mein ho us se kya hijab

mujh se nigahen chaar karo main nashe mein hun

(1138) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahaul Sazgar Karo Main Nashe Mein Hun In English By Famous Poet Ganesh Bihari Tarz. Mahaul Sazgar Karo Main Nashe Mein Hun is written by Ganesh Bihari Tarz. Read famous Poem Mahaul Sazgar Karo Main Nashe Mein Hun for youth and Student by Ganesh Bihari Tarz. Free Download Mahaul Sazgar Karo Main Nashe Mein Hun in PDF.