Jism To MiTTi Mein Milta Hai Yahin Marne Ke Baad
jism to miTTi mein milta hai yahin marne ke baad
us ko kya roen jo marta hi nahin marne ke baad
farz par qurban hone ka ek apna husn hai
aur ho jata hai kuchh insan hasin marne ke baad
ek yahi gham khae jata hai ki us ka hoga kya
kaun rakkhega mera husn-e-yaqin marne ke baad
ye mahal ye mal o daulat sab yahin rah jaenge
hath aaegi faqat do gaz zamin marne ke baad
zindagi tak ke hain rishte zindagi tak hai bahaar
tum kahin ai 'tarz' hoge wo kahin marne ke baad
(810) Peoples Rate This