Ahl-e-dil Ke Waste Paigham Ho Kar Rah Gai
ahl-e-dil ke waste paigham ho kar rah gai
zindagi majburiyon ka nam ho kar rah gai
ho gae barbaad teri aarzu se pesh-tar
zist nazr-e-gardish-e-ayyam ho kar rah gai
tauba tauba us nigah-e-mast ki sarshaariyan
derpa tauba bhi gharq-e-jam ho kar rah gai
us nigah-e-naz ko to koi kuchh kahta nahin
aur mohabbat ki nazar badnam ho kar rah gai
har KHushi tabdil gham mein ho gai tere baghair
subh mujh tak aai bhi to sham ho kar rah gai
ru-ba-ru un ke kahan thi fursat-e-izhaar-e-gham
lab ko ek jumbish barae nam ho kar rah gai
un ke jalwon ki sahar to 'tarz' duniya le gai
gesuon ki sham apne nam ho kar rah gai
(835) Peoples Rate This