Sar Kiya Zulf Ki Shab Ko To Sahar Tak Pahunche
sar kiya zulf ki shab ko to sahar tak pahunche
warna hum log kahan husn-e-nazar tak pahunche
aaj palkon pe meri jashn-e-charaghan hoga
kitne anmol guhar dida-e-tar tak pahunche
meri raaton ka andhera bhi duaen dega
ek sitara jo utar kar mere ghar tak pahunche
kaun kahta hai ki KHurshid utar kar aae
ek jugnu hi magar KHak-basar tak pahunche
jo bhi aae tere kuche mein wo jaan se guzre
sar hatheli pe uThae tere dar tak pahunche
hai usi sahib-e-mearaj ka ehsan ki hum
KHak ho kar bhi magar shams-o-qamar tak pahunche
main andheron ka musafir hun ujalon ka naqib
kis ki jurat hai meri gard-e-safar tak pahunche
ungliyan pahle qalam karna paDengi 'babar'
phir ye mumkin hai qalam harf-e-hunar tak pahunche
(687) Peoples Rate This