Sadaqaton Ke Dahakte Shoalon Pe Muddaton Tak Chala Kiye Hum
sadaqaton ke dahakte shoalon pe muddaton tak chala kiye hum
zamir ko thapthapa ke aaKHir sula diya aur KHush rahe hum
rida-e-giriya pe ta-qayamat nisar hote rahenge dariya
sabil-e-KHun-e-jigar se nadar sahilon ko bhigo chale hum
safar tha jab raushni ki jaanib to phir maal-e-safar ka kya gham
charagh ki tarah sari shab shan se jale subh bujh gae hum
'fuzail' shaer mudir naqqad sab ba-zahir the hum hi lekin
hamare andar tha aur ek shaKHs jis se paiham laDa kiye hum
(768) Peoples Rate This