Naumid Kare Dil Ko Na Manzil Ka Pata De
naumid kare dil ko na manzil ka pata de
ai rah-guzar-e-ishq tere kya hain irade
har raat guzarta hai koi dil ki gali se
oDhe hue yaadon ke pur-asrar libaade
ban jata hun sar-ta-ba-qadam dast-e-tamanna
Dhal jate hain ashkon mein magar shauq irade
us chashm-e-fusun-gar mein nazar aati hai aksar
ek aatish-e-KHamosh ki jo dil ko jala de
aazurda-e-ulfat ko gham-e-zindagi jaise
tapte hue jangal mein koi aag laga de
yaadon ke mah-o-mehr tamannaon ke baadal
kya kuchh na wo saughat sar-e-dasht-e-wafa de
yaad aati hai us husn ki yun 'jafari' jaise
tanhai ke ghaaron se koi KHud ko sada de
(937) Peoples Rate This