Dilon Ke Aaine Dhundle PaDe Hain
dilon ke aaine dhundle paDe hain
bahut kam log KHud ko jaante hain
KHizan ke KHushk patton ko na chheDo
thake-mande musafir so rahe hain
hamari gham-gusari mein shab-e-gham
charagh aahista aahista jale hain
nishan pata nahin koi kisi ka
sabhi ek dusre ko DhunDte hain
bas ek mauj-e-hawa-e-gham hai kafi
irade kya gharaunde ret ke hain
KHuda dil ka nagar aabaad rakhe
hazaron tarah ke gham pal rahe hain
shab-e-mahtab yaaden gul-ruKHon ki
safine mauj-e-KHun mein tairte hain
(770) Peoples Rate This