Dil Mutmain Hai Harf-e-wafa Ke Baghair Bhi
dil mutmain hai harf-e-wafa ke baghair bhi
raushan hai rah nur-e-sada ke baghair bhi
ek KHauf sa daraKHton pe tari tha raat-bhar
patte laraz rahe the hawa ke baghair bhi
ghar ghar waba-e-hirs-o-hawas hai to kya hua
marte hain log roz waba ke baghair bhi
main sari umar lafzon se kambal na bun saka
kaTti hai raat yani rida ke baghair bhi
ehsas-e-jurm jaan ka dushman hai 'jafari'
hai jism tar tar saza ke baghair bhi
(848) Peoples Rate This