Udhaar
hum ko mulazmat jo khaDe ghaT mil gai
bachhon ki naw kanon ke sahil se ja lagi
chiTThi phir un ko hum ne ba-sad-shauq yun likhi
aaya karo idhar bhi mari jaan kabhi kabhi
dil ne kaha ki jhum ke nare lagaiye
taKHti laga ke piTh se ab ghum jaiye
aa jaiye to mil ke mahajan ko luT len
qarza wo len ki asl kabhi den na sud den
wo qarz phir liye hain ki allah ki panah!
rupe usi se len meri jis par paDi nigah
phir us ke bhagne ki bhi chhoDi na koi rah
sab ke langoTi bandh gai, haalat hui tabah
yara na tha fughan ka, na mauqa tha aah ka
pitta phaTa hua tha har ek qarz-KHwah ka
qarze pe hum ne ek makan aisa le liya
jis mein ki do taraf se tha jaane ka rasta
jab sare qarz-KHwahon ko is ka pata chala
har fard le ke apna bahi-khata aa gaya
tha har taraf se shor ki tashrif laiye
sannaTa kah raha tha ki DanDe bajaiye
pahli jo aai ek qayamat macha gai
bil le ke qarz-KHwahon ki ek fauj aa gai
har qarz-KHwah hadd-e-adab langne laga
dil apni maghfirat ki dua mangne laga
har samt lad lad ke girne lage jo bam
garmaya dil to aaya tabiat mein pech-o-KHam
rah rah ke apni boTiyan hum nochne lage
aur KHud-kushi ki rah nai sochne lage
hai qarz ki ye shan ki lo aur kabhi na do
das bis hath khao to do chaar KHud dharo
marne pe qarz-KHwahon ke chande se yun uTho
damDi na apni KHarch ho is ThaTh se maro
chhe sat sal qarz ke paise na jab diye
das bis sud-KHwar to yunhi Dhalak gae
jo adh-mue the wo bhi the kuchh aise kaj-rawe
be-sabr ho ke bole hazrat hum to ab chale
wo hum ne qarz-KHwahon ki miTTi palid ki
wo KHud to mar gae pa raqam un ki rah gai
(1259) Peoples Rate This