Kutton Ka Mushaera
ek shab ko ek nale pe mera guzar hua
kutton ka munaqid tha jahan ek mushaera
bugh ka janab-e-sadr ne misra jo ek diya
bhaun-bhaun ki gaTkari pe sabhon ne uTha liya
wo bait shaiKH-ghesu ki kutiyan ne jhaD di
chit samain ho gae mahfil ukhaD di
kutiyan thin nau-jawan kai shaeraat mein
kuchh shaer-e-karam the wan un ki ghat mein
bhaun-bhaun ki dhum jabki machi kaenat mein
do-chaar un ko le uDe chupke se raat mein
kuchh to talash-e-yar mein dam toDne lage
ushshaq un ki yaad mein sar phoDne lage
KHarish-zada siyah thi ek un mein beswa
har sans se nikalti thi jis ke hua-hua
desi zaban mein fiT tha wilayat ka TeTua
ghigghi bandhi thi logon ke ausan the KHata
haibat se ghonslon mein the tair chhupe hue
maon ki chhatiyon se the bachche lage hue
ek chaukidar pas se guzra jo na-gahan
dam ka langoT bandh ke kutte hue rawan
koh o daman mein gunj gai har taraf fughan
pen-pen ki soz-o-saz mein sab se rawan rawan
DanDa shaqi ka chaar taraf ghumne laga
jo zad mein aa gaya wo zamin chumne laga
(995) Peoples Rate This