Family-planning
har dam yahi ek fikr ho aulad hi ka zikr ho
har samt chahe kal ho sara jahan pamal ho
bad-haal ho be haal ho kangal ho
bachchon se mala-mal ho
ghar mein agar khana nahin pani nahin, dana nahin
chahe koi nashad ho
ghar mein agar chilman nahin ek shama tak raushan nahin
aaTa nahin ration nahin
ek din safar ko hum chale, aur rail mein hum ghus gae
bachchon se hum munh moD kar, sare calendar chhoD kar
aur gher lin seaten tamam rakkha magar ye ehtimam
sare musafir hon khaDe har samt hon bachche paDe
ek shor-o-hangama rahe, gardish mein paimana rahe
koi jiye chahe mare apna safar achchha kaTe
bachchon ki paidaish mein hum chen-pen ki aalaish mein hum
waqfe kabhi dete nahin duniya se hum heTe nahin
jab jaanki ka ghar basa aur barahwan bachcha hua
bole ye sun kar jaanki sab den hai bhagwan ki
baba ne puchha kya hua bole ki phir laDka hua
bole chalo achchha hua aulad ka koTa baDha
bole ki ye kya khaega is ke liye kya aaega
is ka abhi se zikr kya is ki abhi se fikr kya
hum sab faqiron ko yahan itni bhala fursat kahan
aulad bhi paida karen aur baiTh kar socha karen
paise kahan se aaenge? kapDe kahan se laenge?
wo jin ka behtar haal hai, un ka bhi ye ahwal hai
jab bicycle par chal diye, kul family apni liye
do Tokari mein hain nihan do ka hai DanDe par makan
shanon ko do pakDe hue, gardan mein do jakDe hue
hai career par man ladi laDki hai ghanTi se bandhi
bicycle ne farraTe bhare laDkon ne KHarraTe bhare
phir zan, zanazan, zan zanan zan zan zanazan zan zanan
(935) Peoples Rate This