Tamam Jism Ki Parten Juda Juda Karke
tamam jism ki parten juda juda karke
jiye chale gae qiston mein log mar mar ke
har ek mauj mere panw chhu ke lauT gai
kahin ye KHwab na hon nind ke samundar ke
meri kaman mein hain na-tawaniyan meri
KHud apni zat pe hain tir mere tewar ke
ajab hasin KHayalon ko zehn palta hai
tarashta hai sanam bhi to sang marmar ke
bhaTak rahi hai kahan ruh sochna hoga
nikal gai thi kabhi qaid-e-jism se Dar ke
main hadsat ko har gam par bulata hun
bahut shikasta hain diwar-o-dar muqaddar ke
'faza'! zarur koi taza gul khilaega
qalam ne KHun mera pi liya hai ji bhar ke
(748) Peoples Rate This