Tujhe Kis Tarah ChhuDaun KHalish-e-gham-e-nihan Se
tujhe kis tarah chhuDaun KHalish-e-gham-e-nihan se
dil-e-be-qarar laun unhen DhunDh kar kahan se
wo bahaar kash aae wo chale hawa-e-dil-kash
ki qafas pe phul barsen meri shaKH-e-ashiyan se
kabhi qafile se aage kabhi qafile se pichhe
na main karwan mein shamil na juda hun karwan se
mere baad ki bahaaren meri yaadgar hongi
ki khilenge phul akasr meri KHak-e-raegan se
abhi muskura rahi thin meri aarzu ki kaliyan
mujhe le chala muqaddar su-e-dam aashiyan se
jo jabin mein tha amanat mera shauq-e-jubba-sai
wo lipaT ke rah gaya hai tere sang-e-astan se
mili lamha-bhar bhi fursat na 'faza'-e-gham-zada ko
wo baras rahe hain fitne shab-o-roz aasman se
(713) Peoples Rate This