Zauq-e-nazar Ko Jalwa-e-be-tab Le Gaya

zauq-e-nazar ko jalwa-e-be-tab le gaya

tabir ke nashat ko ek KHwab le gaya

mauj-e-subuk-KHiram ki tahrik hi to tha

wo hausla jo mujh ko tah-e-ab le gaya

sar un ki bargah mein jhuk to gaya magar

dil aabru-e-mimbar-o-mehrab le gaya

naghmat-e-dil faza mein bikharne na pae the

tar-e-nafas ko sadma-e-mizrab le gaya

dil irtiqa-e-zehn ka hasil to ho gaya

husn-e-yaqin ko aalam-e-asbab le gaya

hairat-fishaniyan mujhe de to gaya magar

aaina zindagi ki tab-o-tab le gaya

hum ne mahal banae the kuchh regzar par

jin ko baha ke waqt ka sailab le gaya

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zauq-e-nazar Ko Jalwa-e-be-tab Le Gaya In English By Famous Poet Fitrat Ansari. Zauq-e-nazar Ko Jalwa-e-be-tab Le Gaya is written by Fitrat Ansari. Read famous Poem Zauq-e-nazar Ko Jalwa-e-be-tab Le Gaya for youth and Student by Fitrat Ansari. Free Download Zauq-e-nazar Ko Jalwa-e-be-tab Le Gaya in PDF.