Karam Ke Nam Pe Un Ka Itab Chahte Hain
karam ke nam pe un ka itab chahte hain
nigah-e-shauq ko hum kaamyab chahte hain
sukun-e-dil mein gham-o-iztirab chahte hain
hum aise log bhi kya inqalab chahte hain
chaman mein ahd-e-bahaaran ki aarzu kar ke
qafas-nasib qafas par azab chahte hain
ye aazmaish-e-qalb-o-nazar maaz-allah
tumhaare jalwe ko hum be-naqab chahte hain
mujhe raqib samajh kar jo mere mohsin hain
meri nazar ka hasin intiKHab chahte hain
jahan KHulus-e-tijarat ke fan mein Dhal jae
hum aisi duniya se ab ijtinab chahte hain
ye ahl-e-husn ki fitrat ajib fitrat hai
sawal karne se pahle jawab chahte hain
(764) Peoples Rate This