IntiKHab-e-nigah-e-shauq Ko Mushkil Bhi Nahin

intiKHab-e-nigah-e-shauq ko mushkil bhi nahin

koi aaina tera aaj muqabil bhi nahin

kaun se gul ki KHabar baad-e-sahar lai hai

sehn-e-gulshan mein kahin shor-e-anadil bhi nahin

jaane ab kaun si manzil mein mein arbab-e-junun

dur tak dasht mein aawaz-e-salasil bhi nahin

tir aate hain kamin-gah se meri jaanib

meri taqdir mein kya jalwa-e-qatil bhi nahin

tujh se aur chashm-e-tawajjoh ka gila kya mani

tera fitrat tere iKHlas ke qabil bhi nahin

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

IntiKHab-e-nigah-e-shauq Ko Mushkil Bhi Nahin In English By Famous Poet Fitrat Ansari. IntiKHab-e-nigah-e-shauq Ko Mushkil Bhi Nahin is written by Fitrat Ansari. Read famous Poem IntiKHab-e-nigah-e-shauq Ko Mushkil Bhi Nahin for youth and Student by Fitrat Ansari. Free Download IntiKHab-e-nigah-e-shauq Ko Mushkil Bhi Nahin in PDF.