Husn-e-fitrat Ke Amin Qatil-e-kirdar Na Ban
husn-e-fitrat ke amin qatil-e-kirdar na ban
shohrat-e-gham ke liye raunaq-e-bazar na ban
tarik-e-rasm-e-wafa aur gunahgar na ban
mahram-e-ishq hai to mahram-e-asrar na ban
apni gardan pe machalti hui talwar na ban
nang-e-iman hi sahi surat-e-inkar na ban
bad-gumani ko meri aur baDha deta hai
un ka ye kahna ki daman-kash-e-aghyar na ban
rahraw-e-manzil-e-hasti hun main ai yaad-e-habib
dhup mein mere liye saya-e-diwar na ban
dil ko takmil-e-tamanna ka ishaara de kar
mujh se tu meri tamanna ka KHaridar na ban
teri manzil hai ghubar-e-rah-arbab-e-wafa
rahraw-e-rah-e-talab qafila-salar na ban
jin ke daman mein tamanna ko sukun milta hai
un ki nazron se mohabbat ka talabgar na ban
wo teri mast-nigahi ka uDa lenge mazaq
ahl-e-danish mein kabhi bhul ke hoshiyar na ban
ho na jae kahin masdud teri rah-e-talab
ai meri lauh-e-jabin sang-e-dar-e-yar na ban
(890) Peoples Rate This