Daman-e-husn Mein Har Ashk-e-tamanna Rakh Do
daman-e-husn mein har ashk-e-tamanna rakh do
din ki rah mein hangama-e-duniya rakh do
zulm ke samne iKHlas ka parda rakh do
nok-e-har-KHar pe barg-e-gul-e-rana rakh do
apni tariKH ke auraq ulaTna hain agar
gulshan-e-aish pe tapta hua sahra rakh do
jis se wabasta rahe Dubne wale ki umid
ek tinka hi sahi tum lab-e-dariya rakh do
tum jo chaho ki mere lab bhi na khulne paen
mere aage meri taqdir ka chehra rakh do
roz-e-raushan ki tarah hongi munawwar raaten
chand shoale jo sar-e-bazm-e-tamanna rakh do
ek aawaz si aati hai haram se shayad
mai-kade walo zara saghar-o-mina rakh do
(909) Peoples Rate This