Baad Muddat Ke KHayal-e-mai-o-mina Aaya
baad muddat ke KHayal-e-mai-o-mina aaya
zindagi phir mujhe jine ka qarina aaya
har nafas zist ke mathe pe pasina aaya
ye bhi jina hai ki aisa hamein jina aaya
kitne pahlu nazar aa jaen na jaane dil ke
aaina-saz ke hathon mein nagina aaya
phir sar-e-bazm koi jam-ba-kaf aata hai
tark-e-tauba ke tasawwur pe pasina aaya
tohamat-e-baada-parasti ka saza-war hua
tera mai-kash jise do ghunT na pina aaya
chehra-e-waqt se ulTi na gai hum se naqab
kaam apne na kabhi dida-e-bina aaya
tishna-lab rakkha teri chashm-e-karam ne saqi
jab mujhe baada-parasti ka qarina aaya
un ki aankhon mein chhalak aae hain aansu 'fitrat'
mere daman mein umidon ka KHazina aaya
(989) Peoples Rate This