Ho Gae Yar Parae Apne
ho gae yar parae apne
jism apne hain na sae apne
pher lin us ne bhi nazren aaKHir
waqt par kaam na aae apne
wo jo badla to zamana badla
rang duniya ne dikhae apne
ajnabi lagti hai apni surat
ho gae naqsh parae apne
kin shumar apni jafaen us ne
jurm sab hum ne ginae apne
har ghaDi swang rachaya hum ne
us ne sau rang dikhae apne
e'tibar aae bhi kaise us ka
baat jo dil ko na bhae apne
kya kahen mahw-e-safar hain kab se
jism ka bojh uThae apne
muntazir bazm-e-suKHan thi 'KHusraw'
shama kab samne aae apne
(632) Peoples Rate This